tera suluk mujh se hai aghyar ki tarah
ankhon men jo khaTakta huun main ḳhaar ki tarah
mub.ham har ik baat sanam ki lage mujhe
iqrar bhi lage mujhe inkar ki tarah
shatranj jaisi mujh ko lage hai ye zindagi
chalna har ek chaal samajhdar ki tarah
sha.ir samajh ke tujh ko bulaya tha bazm men
ghazlon ko yuun na ga tu gulu-kar ki tarah
hosh-o-havas gum hain jo us ke firaq men
ḳhud ko samajh raha huun main bimar ki tarah
saa.il tumhare dar pe jo aa.e kabhi zaki
us ko navaziye kisi dildar ki tarah
qaabu men rakh zaban ko apni sada ‘zaki’
rishton ko kaTti hai ye talvar ki tarah
Leave a Reply