nikal jaa.e yunhi furqat men dam kya
na hoga aap ka mujh par karam kya
hanse bhi ro.e bhi lekin na samjhe
ḳhushi kya chiiz hai duniya men gham kya
mubarak zalimon ko zulm ham par
jo apna hi kiya hai us ka gham kya
miTa jab imtiyaz-e-kufr o iman
makan-e-kaba kya baitus-sanam kya
nahin jab quvvat-e-ehsas dil men
gham-e-duniya surur-e-jam-e-jam kya
guzar hi ja.enge ghurbat ke din bhi
karen do din ko ab aḳhlaq kam kya
miri bigḌi hui taqdir bhi hai
tumhare turra-e-gesu ka ḳham kya
miri taqdir men likkha hai tu ne
bata ai malik-e-lauh o qalam kya
bhula degi hamen do din men duniya
hamari sha.iri kya aur ham kya
har ik mushkil ko hal karti hai jab maut
karun aage kisi ke sar ko ḳham kya
‘ravan’ ke dard ka aalam na puchho
koi yuun hoga mast-e-jam-e-jam kya
Leave a Reply