dil-o-nigah ko viran kar diya main ne
shikast-e-ḳhvab ka elaan kar diya main ne
jo tiir aa.e the us ki taraf se siine par
saja ke zaḳhmon ka gul-dan kar diya main ne
ghamon ka taaj mire sar pe jab se rakkha hai
ḳhud apne aap ko sultan kar diya main ne
na koi phuul hi rakha na aarzu na charagh
tamam ghar ko bayaban kar diya main ne
vo chahta tha ki sab kuchh luTa ke zinda rahun
lo aaj puura ye arman kar diya main ne
main zad pe tiron ke ḳhud aa gaya huun aaj ‘zafar’
tire nishane ko asan kar diya main ne
Leave a Reply