us ki nahin khudai ki us ka khuda nahin
tum jis ko mil gae use phir kya mila nahin
sajde se sar uthane ko ji chahta nahin
ab ya to ham nahin dar-e-dildar ya nahin
ik paikar-e-khayal ki allah re mahviyat
main khud bhi ab nigah men apni raha nahin
mahshar nisar us nigah-e-sharmsar par
kahna pada khuda se ye qatil mira nahin
vo tinke jab uthae jala daale barq ne
gulshan men ashiyan kabhi apna bana nahin
hadd-e-nigah kab tiri rifat ko pa sake
jalva tira muqayyad-e-arz-o-sama nahin
darkar hai nigah-e-karam varna ai karim
mere liye khazana-e-qudrat men kya nahin
nazren juda juda hain khayalat mukhtalif
meri nazar se koi nahin dekhta nahin
ik vaqfa-e-hayat hai duniya hai jis ka naam
itni si kaenat ko main chahta nahin
is e’tina ki daad bhi ai be-niyaz-e-khalq
mera sar-e-niyaz kahin par jhuka nahin
andaza-e-jamal ba-qadr-e-nigah hai
chashm-e-kalim jalva-taraz-e-ada nahin
tu hi bata ki jaae kahan tujh ko chhod kar
‘afqar’ tira gada hai kisi ka gada nahin