hava.en tez thiin mahaul gard gard na tha
ruḳh-e-hayat kabhi itna zard zard na tha
tha intishar azal hi se aadmi ka nasib
magar samaj kabhi itna fard fard na tha
jo tere hijr men uThta tha dil men rah rah kar
vo kaif vasl se baḌh kar tha dard dard na tha
makalmon men tire ziist ki hararat thi
tira suluk kabhi itna sard sard na tha
bahar aane se pahle kabhi mile hote
main itna bikhra hua itna gard gard na tha
Leave a Reply