Jaana Zi-Bas Zarur Tha Us Jalwa-Gah Mein

jaanā zi-bas zarūr thā us jalva-gāh meñ

ham dair-o-ka.aba chhoḌ ga.e donoñ raah meñ

jab bosa le liyā to nahīñ gāliyoñ kā rañj

ta.azīr mahv ho ga.ī shauq-e-gunāh meñ

bikhre haiñ phuul idhar to dhare haiñ udhar ko jaam

hai bū-e-itr-e-fitna tirī ḳhvāb-gāh meñ

suufī na ḳhānqāh meñ nai riñd dair meñ

majma.a hai ik jahāñ kā tirī jalva-gāh meñ

‘majrūh’ kahiye maiñ na hañsūñ-bolūñ tā-ba-kai

tum to sadā rahoge isī āh-āh meñ

Leave a Comment