raqs-e-shabab-o-rang-e-baharan nazar men hai
ye tum nazar men ho ki gulistan nazar men hai
ik raushni se alam-e-dil jagmaga uTha
vo hain ki aftab-e-daraḳhshan nazar men hai
ahl-e-junun se kijiye ab chak-e-dil ki baat
daman nazar men hai na gareban nazar men hai
un ke karam se baḌhne lage dil ke hausle
andaz-e-iltifat-e-faravan nazar men hai
sau husn le ke aa.i hai duniya-e-arzu
ara.ish-e-hayat ka saman nazar men hai
baḌhti hi ja rahi hain miri be-qarariyan
jab se kisi ki zulf-e-pareshan nazar men hai
nazzara-e-jamal kiye der ho chuki
ab tak farogh-e-bazm-e-hasinan nazar men hai
halqa bana ke naach rahi hain tajalliyan
kis mah-jabin ka chehra-e-taban nazar men hai
shayad usi ke dam se hai qaa.em ummid-e-zist
ik jan-faroz sham-e-farozan nazar men hai
ham bhi nigah-e-dost se na-ashna nahin
har inqilab-e-gardish-e-dauran nazar men hai
‘muztar’ ko apne baḳht-e-rasa par hai aaj naaz
aqa-‘hasan’ ki bazm-e-gul-afshan nazar men hai
Leave a Reply