haan pahle Darte the par ab mazaq karte hain
hamare saath yahan sab mazaq karte hain
ham apni zaat ki sanjidgi pe hanste hain
usuul bante hain vo jab mazaq karte hain
mujhe yaqin to hona ki main yaqinan huun
main muntazir huun ki vo kab mazaq karte hain
hamen qubul tahajjud ke vaqt se pahle
ham apni zaat se har shab mazaq karte hain
shab-e-firaq sahife men jab hai Dhal jaati
jo ashk zinda hon vo tab mazaq karte hain
ḳhud apne jaisa unhen bhi na saḳht-gir bana
kabhi kabhi to tire lab mazaq karte hain
main be-saliqa ḳhayalon ka mo.atadil misra.a
suḳhanvari ke jo hain Dhab mazaq karte hain
hamen bhi shauq hai dekhen hansi ko bante hue
zara batao na vo kab mazaq karte hain
main ungliyon ke tasarruf men raushni rakh duun
badan ke zaviye yarab mazaq karte hain
agar na puure taqaze hon adl ke ‘kazim’
to kursiyon se bhi mansab mazaq karte hain
Leave a Reply