tujhe hai pyaar to yuun karke chal dikha mujh ko
sabhi ke samne apne gale laga mujh ko
main janta huun ki tu ik dahakta sho.ala hai
tiri tapish men agar dam hai to jala mujh ko
har ik nazar ko pata hai main ek patthar huun
har ek dil ne bana rakha hai ḳhuda mujh ko
tiri zaban pe hai inkar aaj bhi lekin
kuchh aur kahti lagi hai tiri ada mujh ko
na ab raha hai koi shauq banne Thanne ka
na apni or bulata hai a.ina mujh ko
kahin nadi kahin dariya kahin samundar huun
ye naam deta hai paani ka silsila mujh ko
unhen hai shauq agar azmane ka ‘ulfat’
ghurur apni vafa par bhi hai baḌa mujh ko
Leave a Reply