aata hai kis andaz se tuk naaz to dekho
kis dhaj se qadam padta hai andaz to dekho
taus-e-pari-jalva ko thukra ke chale hai
andaz-e-khiram-e-but-e-tannaz to dekho
yak jumbish-e-lab us ki ne lakhon ko jalaya
iisa ko ye qudrat thi tum eajaz to dekho
karta huun main duzdida-nazar gar kabhi us par
nazron men parakh le hai nazar-baz to dekho
main kinga-e-arsh se par maar ke guzra
allah-re rasai miri parvaz to dekho
ai vaae ki is sai par apni kabhi us se
sazish na hui tala-e-na-saz to dekho
kya bolne men us but-e-kafir ki ada hai
shirin-sukhani ik taraf avaz to dekho
abtar hai ye divan to miyan-‘mushafi’ saara
anjam ki kya kahte ho aghaz to dekho
Leave a Reply