kise bata.en mohabbat men kya kiya main ne
bana ke apna nasheman jala diya main ne
ghurur-e-ishq ḳhudi aur abru-e-vafa
inhen ganva ke bahut kuchh bacha liya main ne
zamana is ko kahe mai-kashi ki mai-ḳhvari
tamam umr ḳhud apna lahu piya main ne
bujha ga.i thi kabhi jis ko be-ruḳhi teri
usi charagh ko phir se jila liya nai
kal us ko dekh ke dil kitna be-qarar hua
samajh raha tha ki us ko bhula diya main ne
Leave a Reply