abas abas tujhe mujh se hijab aata hai
tire liye koi khana-kharab aata hai
palak ke marte hasti tamam hoti hai
abas ko bahr-e-adam se habab aata hai
khuda hi jaane jalaya hai kis sitamgar ne
jigar to chashm se ho kar kabab aata hai
shab-e-firaq men aksar main le ke aina
ye dekhta huun ki ankhon men khvab aata hai
nazar karun huun to yaan khvab ka khayal nahin
gire hai lakht-e-jigar ya ki aab aata hai