haram men muddaton dhunda shivalon men phira barson
talash-e-yar men bhatka kiya main bar-ha barson
mahinon haath jode ki khushamad bar-ha barson
inhen jhagdon men mujh ko ho gae ai bevafa barson
maaz-allah is azurdagi ka kya thikana hai
jo puchha yaar se kab tak na bologe kaha barson
ghanimat jaan jo din zindagi ke aish men guzren
kisi ka bhi nahin rahta zamana ek sa barson
vahi khun-e-shahid-e-naz ab barbad hota hai
raha ban kar jo tere haath men rang-e-hina barson
hamari be-qarari ka zara tum ko na dhyan aaya
mahinon muntazir rakkha dikhaya rasta barson
zamane men hamesha har mahine chand hota hai
tira jalva nazar aata nahin ai mah-laqa barson
vahin par le chali be-tabi-e-dil vah-ri qismat
phira ki sar patakti jis jagah meri dua barson
ada ho shukr kyun-kar be-kasi o na-umidi ka
rahi hain saath furqat men yahi do ashna barson
na aaya ek din bhi vo but-e-be-rahm ai ‘jauhar’
utha kar haath kaabe ki taraf mangi dua barson
Leave a Reply