duur rah kar na karo baat qarib aa jaao
yaad rah jaegi ye raat qarib aa jaao
ek muddat se tamanna thi tumhen chhune ki
aaj bas men nahin jazbat qarib aa jaao
sard jhonkon se bhadakte hain badan men shoale
jaan le legi ye barsat qarib aa jaao
is qadar ham se jhijakne ki zarurat kya hai
zindagi bhar ka hai ab saath qarib aa jaao
Leave a Reply