ishq karta huun, taqaza nahin kar sakta main
mira daman hai so mela nahin kar sakta main
itni fursat hai ki ik duniya bana sakta huun
par koi hai jise apna nahin kar sakta main
kitne logon ne in a.ankhon se shifa paa.i hai
ek bimar ko achchha nahin kar sakta main
ghar se nikla to ye mumkin hai bhaTak hi ja.un
yaar ab apna to pichha nahin kar sakta main
raat bhar shor machata hai kisi ḳhauf ke taht
apne ham-zad pe parcha nahin kar sakta main
aḳhiri saans hai kuchh mujh pe karam ho sayyad
dekh ab aur tamasha nahin kar sakta main
bhiik bhi chahiye us dast-e-saḳhi se mujh ko
aur daman bhi kushada nahin kar sakta main
Leave a Reply