dhuup jab dhal gai to saaya nahin
ye taalluq to koi rishta nahin
log kis kis tarah se zinda hain
hamen marne ka bhi saliqa nahin
sochiye to hazar pahlu hain
dekhiye baat itni saada nahin
khvab bhi is taraf nahin aate
is makan men koi daricha nahin
chalo mar kar kahin thikane lagen
ham ki jin ka koi thikana nahin
manzilen bhi nahin muqaddar men
aur palatna hamen gavara nahin
dusron se bhi rabt-zabt rakhen
zindagi hai koi jazira nahin
kab bhatak jaae ‘aftab’ husain
aadmi ka koi bharosa nahin
Leave a Reply