qaid-o-band-e-gham se vo azad hai
har qadam par yaan na.i uftad hai
shaad hai to aur koi barbad hai
kya fasana aur kya rudad hai
daftari mahaul men dekho kabhi
koi kitna shaad hai nashad hai
kyon zamana mera ham-avaz ho
mera naghma dard hai fariyad hai
ḳhan-qahen tum saja lo dosto
mere dam se mai-kada abad hai
ahd-o-paiman tum ne bandhe the kabhi
kya tumhen vo bhi zamana yaad hai
istelahen sirf baaqi hain ‘raza’
vo qafas baaqi na vo sayyad hai
Leave a Reply