ahl-e-junun ka jab bhi chaman men guzar hua
arbab-e-fikr ke liye ik dard-e-sar hua
unvan har aarzu ka ba-shart-e-nazar hua
afsana ḳhatm sab ka tire naam par hua
nakamiyon se hausle kuchh aur baḌh ga.e
sau dar khule hain band agar ek dar hua
mera mazaq tirgi-e-shab hai dosto
vo koi aur hoga jo vaqf-e-sahar hua
apnon hi ki harif-e-nazar kha ga.i use
paida jahan chaman men koi dida-var hua
tere hi iltifat ka mannat-guzar hai
jo hadisa bhi vaqt se kuchh peshtar hua
na-puḳhtagi-e-shauq ke aalam men ai ‘nazar’
jo markaz-e-ḳhayal bana muntashar hua
Leave a Reply