mar ke bhi qamat-e-mahbub ki ulfat na ga.i
ho chuka hashr bhi lekin ye qayamat na ga.i
shab ko mai ḳhuub si pi sub.h ko tauba kar li
rind ke rind rahe haath se jannat na ga.i
bosa le kar jo mukarta huun to vo kahte hain
sha.iri ka asar aur jhuuT ki aadat na ga.i
daagh miTte na suna dil se tiri hasrat ka
aa.i jis ghar men phir us ghar se ye daulat na ga.i
paas baiThe bhi to kya jald uThe ghabra kar
mera sauda to gaya aap ki vahshat na ga.i
na hua saaf dil-e-yar kisi tarah ‘jalal’
ḳhaak men mil ga.e ham us ki kudurat na ga.i
Leave a Reply