tumhare gham ko gham-e-jan bana liya main ne
ki jangalon ko gulon se saja diya main ne
na jaane kitni umiden lahu lahu kar ke
dil-e-tabah ko jiina sikha diya main ne
sabab ho kuchh bhi unhen ruThne ki aadat hai
ye sochna hi ghalat hai ki kya kiya main ne
har ek baat mire haq men thi magar phir bhi
jo faisla tha bahut soch kar kiya main ne
use na bhuul saka huun na bhuul pa.unga
ye tajraba to ka.i baar kar liya main ne
tire baghair miri pyaas bujh nahin paa.i
hamesha yaad kiya tujh ko saqiya main ne
miri bhi ḳhamushi dekhi nahin ga.i un se
kisi ka zabt-e-suḳhan aazma liya main ne
ilaaj soz-e-darun ka na ho saka phir bhi
‘sahar’ ba-nam-e-dava zahr bhi piya main ne
Leave a Reply