
Nabeel Ahmad Nabeel
jo naqsh miT chuka hai banana to hai nahin
ujḌa dayar ham ne basana to hai nahin
ankhon ke diip raah men us ke jala.en kya
is ne palaT ke phir kabhi aana to hai nahin
lazim hai chalna ziist ki rahon pe bhi magar
jo gir paḌe kisi ne uThana to hai nahin
bhar ja.ega ye thoḌi si charagari ke ba.ad
taaza laga hai zaḳhm purana to hai nahin
kab tak vafa ke ma.ani batata rahun use
us bevafa ne raah pe aana to hai nahin
kuchh der Thahar jaa.e vo ḳhud hi ḳhuda kare
is baar koi aisa bahana to hai nahin
phir ḳhvahishon ke peḌ pe baiThenge dekhna
in panchhiyon ka koi Thikana to hai nahin
allah-re vafa.en ye ḳhuban-e-shahr ki
manzar dhuan dhuan hai suhana to hai nahin
mansub kar duun main jo tiri zindagi ke saath
yadon ka mere paas ḳhazana to hai nahin
kyuun phir kisi ke dil men mohabbat basa.en ham
jab ashiqi men naam kamana to hai nahin
qismat hai is ke samne ban jaa.e koi baat
vaise koi bhi baat banana to hai nahin
sochun to saare log nishane pe hain magar
dekhun koi kisi ka nishana to hai nahin
vo apna dard aap suna.e to baat hai
ham ne kisi ka dard sunana to hai nahin
ik dusre ki ghaat men baiThe hain sab magar
is vaqt ne kisi ko bachana to hai nahin
hai ta.iran-e-shauq ka maslak to ḳhamushi
hai maslahat ki shor machana to hai nahin
ishq-o-nazar ka da.imi rishta azal se hai
majnun ne shahr chhoḌ ke jaana to hai nahin
hasil kiya na is liye ta.amir ka hunar
ham ne naya jahan basana to hai nahin
kaise rasa.i ho miri us ke mizaj tak
ahval us ne dil ka sunana to hai nahin
mahrum ham na hon kabhi maan ki duaon se
nayab aisa koi ḳhazana to hai nahin
dekhega kaun chak-e-gareban ko ‘nabil’
farhad-o-qais ka ye zamana to hai nahin

Leave a Reply