• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bagh-E-Alam Mein Hai Be-Rang Bayan-E-Waiz

Bagh-E-Alam Mein Hai Be-Rang Bayan-E-Waiz

poet

bagh-e-alam men hai be-rang bayan-e-vaiz

surat-e-barg-e-khizani hai zaban-e-vaiz

misr men bhi na ye firaun ka aalam hoga

dekhe masjid men koi shauqat-o-shan-e-vaiz

ek kanta sa nikal jaae hamare dil se

sansiyon se koi khinche jo zaban-e-vaiz

qulqul-e-shisha-e-mai se tire mai-kash saaqi

sun rahe hain khabar-e-raz-e-nihan-e-vaiz

haal maalum hua nar-o-jinan ka kyunkar

is qadar to nahin uncha hai makan-e-vaiz

nam-e-mai vo hai ki lab par jo kabhi aata hai

munh se bahar nikal aati hai zaban-e-vaiz

mai-kade valon se dabne lage masjid vaale

daur saaqi ka hai guzra vo zaman-e-vaiz

main bhi vo huun jo mire aage kabhi munh khole

kaat dalun abhi danton se zaban-e-vaiz

apne rindon ki main hu-haq ka huun sunne vaala

ya-ilahi na sunana sukhnan-e-vaiz

main pari-zadon ka ashiq huun to vo huron ka

mere saude se hai badh kar khafqan-e-vaiz

paae khum baith ke nashshe men vo baten kiije

log samjhen sar-e-mimbar hai bayan-e-vaiz

ai ‘saba’ khuld men jaun ki jahannam men jalun

na suna hai na sununga main bayan-e-vaiz

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Manam Gada Wa Tui Baadshah-e-Banda-Nawaz

aazim-kohli

dur Hai Manzil To Kya Rasta To Hai

Jo Mumkin Ho to Soz-E-Shama Parwane Mein Rakh Dena

Kya Hai Is Dil Ka Haal Mat Puchho

poet

Kahan Wo Dard Mein Mahsus Aah Karte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet