dil kis ki tegh-e-naz se lazzat-chashida hai
har zakhm shauq se lab-e-hasrat-gazida hai
is garm-e-iztirab se dil jal gaya khuda
pahlu men mere dil hai ki barq-e-tapida hai
chusa dahan-e-zakhm ne us ko hai is tarah
paikan-e-tir-e-yar zaban-e-makida hai
naseh junun ki bakhiya-gari ki havas nahin
har tar-e-jaib ab to gareban-darida hai
ghuncha ki tarah khaak rakhen zar ko bandh kar
juun bole kal yahan se to jaana jarida hai
kuchh aaj zalzala sa zamin ko hai gor men
‘taskin’-e-be-qarar magar armida hai
Leave a Reply