chalti sanson ko jaam karne laga
vo nazar se kalam karne laga
raat farhad ḳhvab men aaya
aur farshi salam karne laga
phir main zahrile kar-ḳhanon men
zinda rahne ka kaam karne laga
saaf inkar kar nahin paaya
vo mira ehtiram karne laga
laila ghar men sila.i karne lagi
qais dilli men kaam karne laga
hijr ke maal se dil-e-nadan
vasl ka intizam karne laga
Leave a Reply