ab jo mil jaao to kami na karun
shikva kaisa ki baat bhi na karun
kya ḳhabar kaise naqsh ubhar aa.en
abhi siine men raushni na karun
hai vafa shart un ki baat rahe
apne dil ki kahi suni na karun
zikr un ka bhi chhiḌ na jaa.e kahin
chup rahun apna zikr bhi na karun
zindagi hai to hai ḳhayal un ka
ḳhair chahun to yaad bhi na karun
un ka milna muhal hai lekin
apne dil se to dushmani na karun
kitni suuni hai rah-e-zist ‘zafar’
kya karun un ko yaad hi na karun
Leave a Reply