be-khabar-e-hayat tha gham ne mujhe jaga diya
ziist ka raaz khol kar maut ka aasra diya
zulf-e-siyah ki yaad men ḳhauf-e-pas-e-fana kahan
tul-e-shab-e-firaq ne sub.h ka gham miTa diya
maut kahin nahin hamen aur kahan nahin hai maut
kis ne bana ke saḳht-jan siine men dil bana diya
talḳh to tha gham-e-hayat itna na talḳh tha magar
puchh ke tum ne hal-e-dil zahr mujhe pila diya
aa ke palaT gaya koi aur na hamen ḳhabar hui
kaif-e-ummid-e-did ne shaam hi se sula diya
gham-kada-e-hayat men aah main vo charagh huun
sub.h hui jala diya shaam hui bujha diya
haa.e vo dard kya hua jis se thi zindagi miri
ḳhud hi miTa nahin hai dil dil ne mujhe miTa diya
haif ki be-kasi ki sharm aaj ‘jigar’ na rah saki
ujḌe hue mazar par kis ne diya jala diya
Leave a Reply