vasl ki zid se uThen hijr ko roya na karen
besh-qimat hain ye lamhe inhen khoya na karen
naseha aur bata ham ko ki kya kya na karen
din men soya na karen raat ko jaaga na karen
manzil-e-zikr ruḳh-e-yar se aage kuchh ho
ham se to ho nahin sakta ise socha na karen
ham ko rahna hai isi qarya-e-kam-nazran men
saḳht mushkil hai yahan rah ke dikhava na karen
jhuuT sau baar kaha jaa.e to sach lagta hai
mashvara ye hai ki ḳhud par bhi bharosa na karen
yaar kahte hain ki ye taur-e-junun achchha nahin
us ki tasvir ko ankhon se lagaya na karen
ham nahin kar sake logon ki nazar ko qaabu
laḌkiyon se kaho barish men yuun bhiga na karen
ab jidhar dekhiye ik mahshar-e-ḳhubi hai bapa
aarzu kis ki karen kis ki tamanna na karen
kaif hain aap koi majnun-o-farhad nahin
pa-barahna nigah-e-ḳhalq men aaya na karen
Leave a Reply