• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bahr-E-Hasti Mein Sohbat-E-Ahbab

Bahr-E-Hasti Mein Sohbat-E-Ahbab

nazeer-akbarabadi

bahr-e-hasti men sohbat-e-ahbab

yuun hai jaise baru-e-ab-e-habab

gardish-e-asman men ham kya hain

par-e-kahe miyana-e-gardab

bada-e-nab kya hai khun-e-jigar

zardi-e-rang hai shab-e-mahtab

jis ko raqs-o-surud kahte hain

vo bhi hai ik hava-e-khana-kharab

umr kahte hain jis ko vo kya hai

misl-e-tahrir mauj-e-naqsh-bar-ab

jism kya ruuh ki hai jaula-nigah

ruuh kya ik savar-e-pa-ba-rikab

husn aur ishq kya hain ye bhi hain

khatfa-e-barq-o-qatra-e-simab

zindagani-o-marg bhi kya hain

ek misl-e-khayal-o-digar-e-khvab

fursat-e-umr qatra-e-shabnam

vasl-e-mahbub gauhar-e-nayab

kyuun na ishrat do-chand ho jo hai

yaar mah-chehra aur shab-e-mahtab

sab kitabon ke khul gae maani

jab se dekhi ‘nazir’ dil ki kitab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Chashm-E-Mast-E-Saqi Se Dil Hua KHarab-Abaad

Hisar-E-Ashiqi Mein Wajd Ki Haalat Mein Rahta Hun

sajida-zaidi

Ek Nashtar-E-Nazar Ke Talabgar Hum Bhi Hain

Tab Us Ka Zahr Usi Ke Badan Mein Bhar Jae

Ajab Kashakash-E-Bim-O-Raja Hai Tanhai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet