mahtab hai na aks-e-ruḳh-e-yar ab koi
kaaTe to kis tarah ye shab-e-tar ab koi
mumkin hai dast-o-bazu-e-qatil to thak bhi jaa.e
shayad thame na dida-e-ḳhunbar ab koi
ahl-e-jafa se kahna tarashen salib-o-dar
shayan-e-sarv-qamat-e-dil-dar ab koi
har ahd men agarche raha jurm harf-e-haq
shayad na aa.e ham sa gunahgar ab koi
haan ai junun ‘sarmad’-o-‘mansur’ ko naved
is dhaj se aa.ega na sar-e-dar ab koi
shahr-e-havas men qadr-e-vafa tere dam se thi
is jins ka nahin hai ḳharidar ab koi
ai kaj-kulah-e-abla-payan-e-rah-e-shauq
shayad hi gul khila.e sar-e-ḳhar ab koi
jitna lahu tha sarf-e-qaba ho chuka tamam
ku-e-vafa men aa.e na zinhar ab koi
Leave a Reply