ab koi gham-gusar hamara nahin raha
duniya ko e’tibar hamara nahin raha
is fart-e-gham men ḳhuun ke aansu Tapak paḌe
ab dil bhi razdar hamara nahin raha
us ki huzur pir-e-mughan men hai manzilat
jo ahd-e-pa.edar hamara nahin raha
har daagh ubhar ke zaḳhm bana zaḳhm rashk-e-gul
dil ma.il-e-bahar hamara nahin raha
ye hai ma.al-e-sohbat-e-zahid janab-e-dil
rindon men ab shumar hamara nahin raha
Leave a Reply