ḳhayal hai ki haqiqat hai ya fasana hai
vo nisti ho ki hasti tilism-ḳhana hai
nazar ka farq man-o-tu ka farq hai shayad
vahi sarab vahi ganj-e-ab-o-dana hai
jo Thahr jaa.e to hai tausan-e-ḳhayal koi
jo rau men ho to ye surat-gar-e-zamana hai
fasad-e-hirs nahin qasr-e-shahr tak mahdud
ki is lapeT men aalam ka karḳhana hai
mujhe to yuun bhi ḳharab-e-shabab hona tha
tire jamal ka jaadu to ik bahana hai
dilon ka rabt nahin be-takallufi hai ye
kabhi kabhi ki mulaqat dostana hai
Leave a Reply