dil ko rahin-e-band-e-qaba mat kiya karo
hai la-ilaj is ki dava mat kiya karo
vaise to ikhtiyar hai saara tumhen magar
jo narava hai us ko rava mat kiya karo
taufiq to hui nahin khairat ki kabhi
kahte hain is gali men sada mat kiya karo
jo mil gae hain un ki tavazo ko chhod kar
jo kho gae hain un ka pata mat kiya karo
is ka moamla hai juda vaza hi kuchh aur
dil men hisab-e-tangi-e-ja mat kiya karo
kuchh aur log hain yahan is kaam ke liye
vajib hai jo bhi qarz ada mat kiya karo
jaisa bhi hai vo yaar hai apna khula-dala
kuchh is liye bhi khauf-e-khuda mat kiya karo
sach hai ki ham se baat bhi karna namaz hai
gar ho sake to is ko qaza mat kiya karo
tum se to hai ‘zafar’ ka bas itna mutalba
khud se ise ziyada juda mat kiya karo
Leave a Reply