ashiq huun main nafrat hai mire rang ko ru se
paivand nahin chaak gareban ko rafu se
daman mire qatil ka na rangin ho lahu se
har-chand ki nazdik ho rag-ha-e-gulu se
gulzar-e-jahan par na padi aankh hamari
kotah thi umr apni habab-e-lab-e-ju se
karta hai vo saffak khat-e-shauq ke purze
mehndi mali jaati hai kabutar ke lahu se
ashiq huun magar karte hain mashuq khushamad
nazuk hai tabiat miri bimar ki khu se
Leave a Reply