ik gosha-e-dil men jo kisi ke hain makin ham
ye zo.am hai goya ki hain vali-e-zamin ham
jaari hai dilon ka to vahi rabt-e-nihani
har-chand kahin aur hain vo aur kahin ham
kya hai ye makan kya ye dayar aur ye jahan kya
ye auj hai apna ki jahan vo hain vahin ham
ye mo.ajaza-e-ishq hai ik zinda haqiqat
aate hain nazar aaj jahan bhar men hamin ham
vaan apni rasa.i na sahi dar to hai us ka
hote nahin aghyar se yuun chin-ba-jabin ham
har ik men nazar aati hain kuchh us ki ada.en
ulfat na kisi aur se kar baiThe kahin ham
jo chahe kahe iiza de ya kuchh kare tazlil
dar chhoḌ ke us ka nahin ja sakte kahin ham
parvana-e-jannat hamen dilvate hain kyuun aap
kah to diya sau baar ki ja.enge nahin ham
nazzara-e-alam hai bas ik ḳhvab-e-pareshan
bedar hue gar nazar a.enge hamin ham
duniya men hai nairangi-e-taqdir tamasha
the abla-pa kal to hain ab taḳht-nashin ham
uff ik dil-e-‘rahbar’ pe hasinon ki ye takrar
lalchaen hamin ham ise pa jaa.en hamin ham
Leave a Reply