• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ghiste Ghiste Panw Mein Zanjir Aadhi Rah Gai

Ghiste Ghiste Panw Mein Zanjir Aadhi Rah Gai

poet

ghiste ghiste paanv men zanjir aadhi rah gai

aadhi chhutne ki hui tadbir aadhi rah gai

niim bismil ho ke main tadpa to vo kahne lage

chuuk tujh se ho gai taazir aadhi rah gai

shaam se thi aamad aamad nisf shab ko aae vo

yavari kar ke miri taqdir aadhi rah gai

nisf shahr us gesu-e-mushkin ne dil-basta kiya

khusrav-e-tatar ki tauqir aadhi rah gai

chaudhvin shab na-mubarak mah-e-kamil ko hui

nisf mansab ho gaya jagir aadhi rah gai

tez kab tak hogi kab tak baadh rakkhi jaegi

ab to ai qatil tiri shamshir aadhi rah gai

aadhe dhad ka dam nikalta tha ki aaya khatt-e-shauq

padhte padhte mar gae tahrir aadhi rah gai

rang phirne bhi na paaya tha ki khud-rafta hua

ban ke ‘mani’ se tiri tasvir aadhi rah gai

nisf shab tak di tasalli phir vo yusuf uth gaya

khvab-e-hasrat ki miri taabir aadhi rah gai

khud kaha qatil se main ne phir dobara zabh kar

kat ke jab gardan dam-e-takbir aadhi rah gai

dopahar raat aa chuki jab guftugu ki ishq ki

yaar se aadhi hui taqrir aadhi rah gai

imtihan men kundani rang un ka duuna ho gaya

udte udte surkhi-e-iksir aadhi rah gai

ai pari-ru jald zindan men ‘sharaf’ ki le khabar

tukde kar ke phenk di zanjir aadhi rah gai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Jafa-Pasandon Ko Sunte Hain Na-Pasand Hua

Ho Chuki Ab Shairi Lafzon Ka Daftar Bandh Lo

poet

Tum Siwa Hum Kahen to Kis Se Kahen

Subh Ke Shor Mein Namon Ki Farawani Mein

tanveer-anjum

Pahle Mausam Ke Baad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet