surḳhī-e-rañg-e-shafaq nūr-e-sahar le ke chalo
rahravo mash.al-e-ḳhurshīd-o-qamar le ke chalo
jazba-e-jehd-e-musalsal tapish-e-azm-e-javāñ
ab jo chalte ho to ye zād-e-safar le ke chalo
phūñk Dāleñ jo har ik ḳhirman-e-fikr-e-bātil
apnī bebāk nigah meñ vo sharar le ke chalo
tum ko karnā hai madāvā-e-ġham-e-naua-e-bashar
dard-e-dil le ke chalo soz-e-jigar le ke chalo
aaj phir ahl-e-vatan ko hai zarūrat ‘at.har’
nazr-e-jāñ le ke chalo hadiya-e-sar le ke chalo