ye tan ghira hua chhoTe se ghar men rahta hai
par apna man ki jo har dam safar men rahta hai
dhanak ki tarah nikharta hai shab ko ḳhvabon men
vahi jo din ko miri chashm-e-tar men rahta hai
visal us ko likhun main ki hijr ka aghaz
jo ek lamha musalsal nazar men rahta hai
chalo vo ham nahin koi to hai zarur ki jo
sukun se saya-e-divar-o-dar men rahta hai
hai tang jis pe bahut vus.at-e-zaban-o-bayan
vo harf ik nigah-e-muḳhtasar men rahta hai
Leave a Reply