• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai

Waqt Ne Dil Ki Tabiat Mein Wafa Rakkhi Hai

poet

vaqt ne dil ki tabi.at men vafa rakkhi hai

kulfat-e-agahi phir us ki saza rakhi hai

dil ho pazhmurda to hai ḳhanda-e-gul be-ma.ani

har ḳhushi aur ghami dil ne chhupa rakkhi hai

chaak karti hai saba sub.h ko ghunchon ke jigar

ye kahani mujhe shabnam ne suna rakkhi hai

ghunche ghunche men hai poshida salib-e-gham-e-dost

kis ne phulon men ye qatil ki ada rakkhi hai

kis ke chhup jaane se hairan hui hai duniya

kis ke jalvon ne ye divani bana rakkhi hai

zindagi ho ga.i kis tarah tu itni sasti

kis liye tu ne bhari duniya sata rakkhi hai

ilm se jis ke mujhe mil sake manzil ka nishan

vaqt ne mujh se vahi baat chhupa rakkhi hai

ham ne har moḌ pe chahat ke jala.e hain charagh

ham ne har gaam pe ulfat ki bina rakkhi hai

tafraqon ka nahin aapas men kahin koi javaz

sab ne auham ki divar uTha rakkhi hai

dard-e-hijran ke tasalsul se na ghabra dil-e-zar

ishq ne dard ke andar hi dava rakkhi hai

vaqt le aaya hai ḳhud had men use der saver

jis ne bhi qad se siva apni ana rakkhi hai

us sitamgar ka men ai ‘raz’ karun kya shikva

har bala mere liye jis ne rava rakkhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

waseem-barelvi

Main Ye Nahin Kahta Ki Mera Sar Na Milega

Hathon Mein Rassiyan Hain

uDate Aae Hain Aap Apne KHwab-Zar Ki KHak

poet

Sine Ki Misal Aag Hai Chandi Sa Dhuan Hai

Puchho Na Kuchh Subut-E-KHirad Maine Kya Diya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet