aise kuchh log bhi miTTi pe utare jaa.en
dekh kar jin ko ḳhad-o-ḳhal sanvare jaa.en
ek hi vasl ki tasir rahegi qaa.em
kaun chahega yahan saal guzare jaa.en
tere mizhgan hain ki surat koi qausain ki hai
darmiyan aa ke kahin log na maare jaa.en
maahi us paar khaḌa aap ki rah takta hai
aap tazim karen aur kinare jaa.en
ab mayassar nahin koi bhi Thikana ham ko
tum batao ki kahan dost tumhare jaa.en
chand sheron ki zarurat hai unhen ḳhatir-e-dost
vo ba-zid hain ki vo ash.ar hamare jaa.en
raushni chahiye kuchh der zara aur hamen
chand ruk jaa.e yahin aur sitare jaa.en
Leave a Reply