kaun darvaza khula rakhta bara.e intizar
raat gahri ho chali rahrav abas hai kal pukar
aankh jal jaati hai lekin ḳhvab jhulsati nahin
surma.i Dheri ki ḳhunki se janam legi bahar
kaun dasht-e-karb ke azar ka aadi hua
kaun ja paaya hai bahr-e-dard ki maujon ke paar
ranj men lipTa raha mahtab ka ghamgin badan
raat Tairis par koi sajde main roya zar-zar
ab kisi shikve-gile ki koi gunja.ish nahin
aap apne haath se saunpa tha us ko iḳhtiyar
kaifiyat ki puchh mat hamdam ki lutf-e-qurb se
aaj kuchh baḌh kar hai apne andarun bahta ḳhumar
shahzadi rauzan-e-zindan se rah takti rahi
shahr ki raḳhshandagi men kho gaya ik shahsavar
ik nazar ka mo.ajiza mere qalam ka sab hunar
ik sunahri dhyan se barsi hai nazmon ki phuvar
Leave a Reply