har ik lamhe ki rag men dard ka rishta dhadakta hai
vahan taara larazta hai jo yaan patta khadakta hai
dhake rahte hain gahre abr men batin ke sab manzar
kabhi ik lahza-e-idrak bijli sa kadakta hai
mujhe divana kar deti hai apni maut ki shokhi
koi mujh men rag-e-iz.har ki surat phadakta hai
phir ik din aag lag jaati hai jangal men haqiqat ke
kahin pahle-pahal ik khvab ka shola bhadakta hai
miri nazren hi mere aks ko majruh karti hain
nigahen murtakiz hoti hain aur shisha tadakta hai
Leave a Reply