mushkil men Dalta huun main apne vajud ko
asan bana raha huun main apne vajud ko
takmil chahta huun main apne vajud ki
har ruḳh se dekhta huun main apne vajud ko
donon ke darmiyan kahin kuchh hai mushtarak
so tujh men DhunDhta huun main apne vajud ko
kar de na vaar mujh pe mira main ye soch kar
ḳhud se bacha raha huun main apne vajud ko
apne vajud se nahin main mutma.in abhi
har lamha manjhta huun main apne vajud ko
ranj-o-alam ki bhaTTi men ‘nayab’ Daal kar
kundan bana raha huun main apne vajud ko
Leave a Reply