vafa-o-mehr-o-altaf-o-karam the ham-inan kya kya
hue hain apne hi dil se magar ham bad-guman kya kya
par-e-parvaz niila asman manzil sitaron ki
kate shahpar to yaad aane lagin jaulaniyan kya kya
ye apna dil jo ab aseb-e-khamoshi ka maskan hai
kabhi guzre the is suuni dagar se karvan kya kya
sukut-e-nim-shab ki ahaten aur raat ka jaadu
ye manzar saath le aaya tiri dildariyan kya kya
jahan ahl-e-nazar ahl-e-hunar ki hukmarani thi
vahan minqar-e-zer-e-par hain baithe nukta-dan kya kya
ab apne ghar ka bhi ahval lab par la nahin sakte
kiya karte the ham ahval-e-alam ka bayan kya kya
ajab tira-shabi se ab rah-o-rasm-e-junun thahri
hue nisyan ke parde men mah-o-anjum nihan kya kya
Leave a Reply