kamal-e-husn ka iqrar kar jaana hi paḌta hai
ada.en itni kafir hon to mar jaana hi paḌta hai
koi manzil ho majbur-e-safar hain hausle vaale
guzar mushkil sahi lekin guzar jaana hi paḌta hai
talab men tez-gami har jagah mauzun nahin hoti
jahan bhi vaqt Thahrate Thahar jaana hi paḌta hai
kahan tak naz-bardari tiri ai gardish-e-dauran
chaḌhe dariya ko bhi ik din utar jaana hi paḌta hai
gulistan ho ki sahra ku-e-qatil ho ki mai-ḳhana
jidhar taqdir le jaa.e udhar jaana hi paḌta hai
tire javon ki tabani sambhalne hi nahin deti
nazar ko hosh ki surat bikhar jaana hi paḌta hai
ravan hai karvan-e-zindagi lamhon ki surat men
bikharte TuTte sham-o-sahar jaana hi paḌta hai
vo jaate hain to saath un ke nazar tanha nahin jaati
hamen bhi duur hamrah-e-nazar jaana hi paḌta hai
kabhi halat is manzil pe bhi laate hain insan ko
ki sab kuchh jaan kar sab se guzar jaana hi paḌta hai
zamin-e-dil ki shadabi hai amvaj-e-havadis se
bahar aa.e to gulshan ko sanvar jaana hi paḌta hai
yahi to ‘shauq’-e-majburi hai apni bazm-e-saqi men
hazar inkar karte hain magar jaana hi paḌta hai
Leave a Reply