rah-e-guman se ajab karvan guzarte hain
miri zamin se kai asman guzarte hain
jo raat hoti hai kaisi mahakti hain galiyan
jo din nikalta hai kya kya butan guzarte hain
kabhi jo vaqt zamane ko deta hai gardish
mire makan se bhi kuchh la-makan guzarte hain
kabhi jo dekhte hain muskura ke aap idhar
dil-o-nigah men kya kya guman guzarte hain
Leave a Reply