chamak yūñhī nahīñ lafzoñ meñ aa.ī
kiyā hai ḳhūn-e-dil ko raushnā.ī
mire chehre se chipkī thī udāsī
hañsī māyūs ho kar lauT aa.ī
tamannāoñ ne kī sahrā-navardī
junūñ ne shahar meñ hī ḳhaak uḌaa.ī
maiñ dil kī baat sunñe kā huuñ aadī
mubārak tum ko patthar kī ḳhudā.ī
kitābeñ ishq kī gum ho ga.ī haiñ
adhūrī rah ga.ī merī paḌhā.ī
ujālā bhar gayā kamre meñ mere
tirī tasvīr kī hai rū-numā.ī
tamāzat merā māthā chūmtī hai
maiñ jab kartā huuñ sūraj kī burā.ī
nahīñ ḳhvāhish parinda shāḳh-e-dil par
to is ke TuuT jaane meñ bhalā.ī
ḳharīdegā ‘musavvir’ kaun tum ko
agar qīmat nahīñ apnī baḌhā.ī