• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHabar Hi Nahin Kaise angDai Le Kar Nigahen uThae Ki Saghar uThae

KHabar Hi Nahin Kaise angDai Le Kar Nigahen uThae Ki Saghar uThae

poet

ḳhabar hi nahin kaise angḌa.i le kar nigahen uTha.e ki saghar uTha.e

kuchh aisa nasha chha gaya zindagi par sambhalte sambhalte qadam Dagmaga.e

bane husn vaale sarapa qayamat javani jab aa.i to andaz aa.e

gira.i kabhi shoḳh nazron se bijli kabhi sharm aa.i kabhi muskura.e

koi ja ke mere masiha se kah de ḳhuda ke liye aag dil ki bujha de

mohabbat ke sho.ale bhaḌakne lage hain kahin ḳhirman-e-zindagi jal na jaa.e

ho un ka didar qismat se jab bhi ada ho ga.i hai namaz-e-mohabbat

nikal aa.e jab bhi vo parde se bahar nigahon ne jhuk jhuk ke sajde suna.e

suna.e kise apni gham ki kahani kidhar jaa.e vo teri mahfil se uTh kar

nazar ne tiri jis ka dil le liya ho vo qismat ka maara kahan chain paa.e

chaman vaale achchhi tarah jante hain chaman men jo qurbaniyan ham ne di hain

chaman se andhere miTane ki ḳhatir nasheman bana.e nasheman jala.e

na saaqi na botal na hai raqs-e-saghar udasi hai chha.i hui anjuman par

fana-sazon dil se ghazal aisi chheḌo ‘fana’ naach uThe zindagi jhuum jaa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek Qatra-E-Mani Se Afkar Ka Dariya Ho

Main ujDa Shahr Tha Tapta Tha Dasht Ke Manind

MULLA JAMI

Bas Be-Rang-Ast Yar-e-dil-e-Khwah Ai dil

sabiha-saba-1

Ye dil Ki dastan Hai Ki dil Ghulam Kar diya

Kitab-E-Ishq Ke Jo Moatabar Risale Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet