nahin tha koi bhi phir bhi thiin ahaTen kya kya
tamam-rat huiin dil pe dastaken kya kya
na miT sake kisi surat bhi mere dil ke shokuk
tiri nigah ne ki hain vazahaten kya kya
ye aarzu hai ki in men ho koi tujh jaisa
nazar men ghumti rahti suraten kya kya
kisi ke tarz-e-taghaful pe kis liye ilzam
mujhe to ḳhud se rahi hain shikayaten kya kya
simaT ga.e hain mohabbat ke da.eron men ham
bikhar ga.i hain faza.en hikayaten kya kya
ḳhud apni zindagi bhi apni dastaras men nahin
qadam qadam pe badalti hai karvaTen kya kya
kisi ki chashm-e-tavajjoh na uTh saki mujh par
miri nazar men thiin varna guzarishen kya kya
ye rang laa.i hai ahbab ki ḳhirad-mandi
ujaḌ ke rah ga.iin mahfil ki raunaqen kya kya
tamam valvale vo sard paḌ chuke ai ‘arsh’
hamare dil men thiin varna hararaten kya kya
Leave a Reply