vo mire dil ke talabgar nazar aate hain
shadmani ke ab asar nazar aate hain
jo mire naam se bezar nazar aate the
ab vahi dil ke talabgar nazar aate hain
ab mohabbat ke parastar kahan ai saaqi
sab mohabbat ke ḳharidar nazar aate hain
ab ke gulshan men ajab rang se aa.i hai bahar
shaḳh-e-gul par bhi hamen ḳhaar nazar aate hain
haa.e ummid ka paband-e-karam ho jaana
aaj ham ziist se bezar nazar aate hain
hashr men kis se karun kis ki shikayat ai dil
sab usi but ke taraf-dar nazar aate hain
ḳhud manane ko jinhen rahmat-e-haq aa.i hai
unche darje ke gunahgar nazar aate hain
ye hai mai-ḳhana to phir aaj se meri tauba
sab yahan zahid-o-din-dar nazar aate hain
us ki begana-ravi ka ye fusun to dekho
aaj ahbab bhi aghyar nazar aate hain
phir vo ma.il-ba-karam hone lage hain ‘sahir’
phir gham-o-ranj ke asar nazar aate hain
Leave a Reply