rabt arsh-e-barin se niklega
mera shajara vahin se niklega
ghar to dahshat se kaanp ja.enge
zalzala jab makin se niklega
harf aa.ega phir naqabon par
a.ina jab kahin se niklega
yaar yaron ki baat mat chheḌo
qafila astin se niklega
mar bhi ja.un to meri miTTi ka
har ta.alluq zamin se niklega
Leave a Reply